parda jo ru-e-yar se uTTha barae-nam
parda jo rū-e-yār se uTThā barā.e-nām
dekhā bhī ham ne us ko to dekhā barā.e-nām
uTThā pahāḌ kaaT ke duniyā se kohkan
shīrīñ kā ho ke rah gayā shohrā barā.e-nām
ahl-e-vafā ko aaj koī pūchhtā nahīñ
hai bhī agar vafā kā to charchā barā.e-nām
milte hī aañkh tuur pe ġhash khā ke gir paḌe
dekhā kalīm ne tirā jalva barā.e-nām
do din bane hue na hue the ki jal gayā
bulbul ne āshiyāne ko bartā barā.e-nām
parda jo ru-e-yar se uTTha barae-nam
dekha bhi hum ne us ko to dekha barae-nam
uTTha pahaD kaT ke duniya se kohkan
shirin ka ho ke rah gaya shohra barae-nam
ahl-e-wafa ko aaj koi puchhta nahin
hai bhi agar wafa ka to charcha barae-nam
milte hi aankh tur pe ghash kha ke gir paDe
dekha kalim ne tera jalwa barae-nam
do din bane hue na hue the ki jal gaya
bulbul ne aashiyane ko barta barae-nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.