parda-poshi ban gai zahmat wafa ke bab mein
parda-poshī ban ga.ī zahmat vafā ke baab meñ
ġham barahna ho gayā hai jāma-e-ādāb meñ
ab use ahl-e-fazīlat se hai nisbat aur bas
mast rahtā thā jo mere halqa-e-ahbāb meñ
chashmakeñ kal soḳhta-jānoñ meñ shab-bhar us pe thiiñ
hai chamak tum meñ sivā yā gauhar-e-nāyāb meñ
vo tasavvur meñ sunātā hai kahānī vasl kī
hijr kī rūdād kahtā huuñ maiñ us ke ḳhvāb meñ
kyā mohabbat kī sharī'at kā ḳhudā koī nahīñ
dil ke sajde rā.egāñ haiñ dard kī mehrāb meñ
parda-poshi ban gai zahmat wafa ke bab mein
gham barahna ho gaya hai jama-e-adab mein
ab use ahl-e-fazilat se hai nisbat aur bas
mast rahta tha jo mere halqa-e-ahbab mein
chashmaken kal soKHta-jaanon mein shab-bhar us pe thin
hai chamak tum mein siwa ya gauhar-e-nayab mein
wo tasawwur mein sunata hai kahani wasl ki
hijr ki rudad kahta hun main us ke KHwab mein
kya mohabbat ki shari'at ka KHuda koi nahin
dil ke sajde raegan hain dard ki mehrab mein
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 52)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.