pardes mein hun aur ghani tirgi to hai
pardes meñ huuñ aur ghanī tīrgī to hai
par mutma.in huuñ raat tire shahr kī to hai
dhartī pe aa raheñgī abhī sab bulandiyāñ
chaTTān dhīre dhīre khisakne lagī to hai
is kā to ġham nahīñ ki muḳhālif sabhī hue
chubhtī huī sī baat bhī ham ne kahī to hai
phailā ke haath pair na so jaa.e chāñdnī
sāhil hai rut javān hai aur raat bhī to hai
kholo na khiḌkiyāñ ki saverā nahīñ huā
bujhte hue diye haiñ abhī raushnī to hai
tanhā.ī meñ ye kaun hai chauñkā gayā mujhe
vo aadmī nahīñ na sahī par koī to hai
pardes mein hun aur ghani tirgi to hai
par mutmain hun raat tere shahr ki to hai
dharti pe aa rahengi abhi sab bulandiyan
chaTTan dhire dhire khisakne lagi to hai
is ka to gham nahin ki muKHalif sabhi hue
chubhti hui si baat bhi hum ne kahi to hai
phaila ke hath pair na so jae chandni
sahil hai rut jawan hai aur raat bhi to hai
kholo na khiDkiyan ki sawera nahin hua
bujhte hue diye hain abhi raushni to hai
tanhai mein ye kaun hai chaunka gaya mujhe
wo aadmi nahin na sahi par koi to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.