pareshan hai sitamgar hausla gum ho gaya hai
pareshāñ hai sitamgar hausla gum ho gayā hai
guloñ meñ ḳhanjar-e-dast-e-jafā gum ho gayā hai
nihāñ hai ek nuqte meñ nizām-e-zindagānī
vajūd-e-harf to hai tarjuma gum ho gayā hai
chale aao hamārī ḳhushbuoñ ke rāste par
agar shahr-e-mohabbat kā pata gum ho gayā hai
zamānat meñ kisī kī de diyā hai mutma.in haiñ
jahāz-e-ārzū uḌtā huā gum ho gayā hai
añdherā ho gayā thā sahn-e-sajda meñ hamāre
jabīñ se nayyar-e-ḳhāk-e-shifā gum ho gayā hai
qasīde husn-e-yūsuf ke jo ab tak paḌh rahā thā
jamāl-e-ashk meñ vo aa.ina gum ho gayā hai
nigāh-e-chashm-e-irfān-o-shu.ūr-e-āgahī de
yahāñ ham aql vāloñ kā ḳhudā gum ho gayā hai
tumhārī sarhad-e-imkān chhūne ko gayā thā
hamārā tā.ir-e-fikr-e-rasā gum ho gayā hai
pareshan hai sitamgar hausla gum ho gaya hai
gulon mein KHanjar-e-dast-e-jafa gum ho gaya hai
nihan hai ek nuqte mein nizam-e-zindagani
wajud-e-harf to hai tarjuma gum ho gaya hai
chale aao hamari KHushbuon ke raste par
agar shahr-e-mohabbat ka pata gum ho gaya hai
zamanat mein kisi ki de diya hai mutmain hain
jahaz-e-arzu uDta hua gum ho gaya hai
andhera ho gaya tha sahn-e-sajda mein hamare
jabin se nayyar-e-KHak-e-shifa gum ho gaya hai
qaside husn-e-yusuf ke jo ab tak paDh raha tha
jamal-e-ashk mein wo aaina gum ho gaya hai
nigah-e-chashm-e-irfan-o-shuur-e-agahi de
yahan hum aql walon ka KHuda gum ho gaya hai
tumhaari sarhad-e-imkan chhune ko gaya tha
hamara tair-e-fikr-e-rasa gum ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.