pareshan hain adim-ul-fursati se
pareshāñ haiñ adīm-ul-fursatī se
nahīñ bezār phir bhī zindagī se
sharāfat kī koī had hai muqarrar
to baaz aa jaa.eñ sulh-o-āshtī se
chhupā.e phirte haiñ dozaḳh diloñ meñ
ba-zāhir lagte haiñ sab jannatī se
ajab hai iḳhtilāt-e-dīn-o-duniyā
na dab jaa.e kahīñ nekī badī se
tamāshe ko na kyoñ dastūr kahiye
samundar peT bhartā hai nadī se
qutub-mīnār se āvāz deñ kyā
ki ham kyā chāhte haiñ shā.erī se
añdherī raat phir ummīd se hai
kiran phūTegī us kī kokh hī se
mirī daryāft mustaqbil meñ hogī
maiñ aajiz huuñ tilism-e-āgahī se
abhī hai saḳht mehnat kī zarūrat
abhī insān kam haiñ aadmī se
ḳhalā-bāzī se mujh ko rokte haiñ
ka.ī fitne zamīnī vāqa.ī se
vahī mad.h-o-satā.ish dil-navāzī
kabhī to pesh aao be-ruḳhī se
safar āsān hai dushvār kar do
ḳhudārā saath aa jaao ḳhushī se
sunahrī dhuup se mar.ūb ho tum
buland iqbāl hotā hai ḳhudī se
mujhe aabid pukāreñ 'sarfarāz' ab
ki sach likhtā huuñ maiñ sanjīdgī se
pareshan hain adim-ul-fursati se
nahin bezar phir bhi zindagi se
sharafat ki koi had hai muqarrar
to baz aa jaen sulh-o-ashti se
chhupae phirte hain dozaKH dilon mein
ba-zahir lagte hain sab jannati se
ajab hai iKHtilat-e-din-o-duniya
na dab jae kahin neki badi se
tamashe ko na kyon dastur kahiye
samundar peT bharta hai nadi se
qutub-minar se aawaz den kya
ki hum kya chahte hain shaeri se
andheri raat phir ummid se hai
kiran phuTegi us ki kokh hi se
meri daryaft mustaqbil mein hogi
main aajiz hun tilism-e-agahi se
abhi hai saKHt mehnat ki zarurat
abhi insan kam hain aadmi se
KHala-bazi se mujh ko rokte hain
kai fitne zamini waqai se
wahi madh-o-sataish dil-nawazi
kabhi to pesh aao be-ruKHi se
safar aasan hai dushwar kar do
KHudara sath aa jao KHushi se
sunahri dhup se marub ho tum
buland iqbaal hota hai KHudi se
mujhe aabid pukaren 'sarfaraaz' ab
ki sach likhta hun main sanjidgi se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.