pareshan hain KHirad-mandon ki hairani nahin jati
pareshāñ haiñ ḳhirad-mandoñ kī hairānī nahīñ jaatī
miTā.ī aql se tahrīr-e-peshānī nahīñ jaatī
bhulātā huuñ unheñ jitnā vo utne yaad aate haiñ
ḳhalish zaḳhm-e-mohabbat kī ba-āsānī nahīñ jaatī
agar ho shīsha-e-dil saaf to dam-bhar meñ khul jaa.e
haqīqat kyoñ ḳhudā-e-pāk kī jaanī nahīñ jaatī
muqaddar meñ jo likkhā hai vo badlā hai na badlegā
ḳhudā.ī hukm meñ hujjat koī maanī nahīñ jaatī
kisī kā jalva-e-rangīñ kahīñ ik baar dekhā thā
magar ab tak nigāhoñ kī vo hairānī nahīñ jaatī
havas dīdār kī dil se jo nikle bhī to kyā nikle
bahār-e-husn kī jab jalva-sāmānī nahīñ jaatī
hayāt-e-chand-roza ke tamāshoñ meñ haiñ ġham aise
hamāre dil se hirs-e-ālam-e-fānī nahīñ jaatī
hamārī zindagī hai ik bahār-e-be-ḳhizāñ 'āqil'
hamāre tā.ir-e-dil kī ġhazal-ḳhvānī nahīñ jaatī
pareshan hain KHirad-mandon ki hairani nahin jati
miTai aql se tahrir-e-peshani nahin jati
bhulata hun unhen jitna wo utne yaad aate hain
KHalish zaKHm-e-mohabbat ki ba-asani nahin jati
agar ho shisha-e-dil saf to dam-bhar mein khul jae
haqiqat kyon KHuda-e-pak ki jaani nahin jati
muqaddar mein jo likkha hai wo badla hai na badlega
KHudai hukm mein hujjat koi mani nahin jati
kisi ka jalwa-e-rangin kahin ek bar dekha tha
magar ab tak nigahon ki wo hairani nahin jati
hawas didar ki dil se jo nikle bhi to kya nikle
bahaar-e-husn ki jab jalwa-samani nahin jati
hayat-e-chand-roza ke tamashon mein hain gham aise
hamare dil se hirs-e-alam-e-fani nahin jati
hamari zindagi hai ek bahaar-e-be-KHizan 'aqil'
hamare tair-e-dil ki ghazal-KHwani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.