pareshan ho ke apni zindagi se
pareshāñ ho ke apnī zindagī se
kinārā kar liyā thā har kisī se
hamesha dar-guzar karte raheñ kyā
tumhārī be-ruḳhī ko ham ḳhushī se
dukhā kar dil hamārā kyā milegā
batāo pūchhtī huuñ ājizī se
marāsim aur gahre ho ga.e haiñ
sunā hai aap ke ik ajnabī se
kahāñ hai aur kaisā hai abhī vo
nigāheñ pūchhtī haiñ har kisī se
samundar maat khātā jā rahā hai
hamāre zabt se dariyā-dilī se
koī kyoñ 'nūr' se aa kar milegā
bahut bezār haiñ sab raushnī se
pareshan ho ke apni zindagi se
kinara kar liya tha har kisi se
hamesha dar-guzar karte rahen kya
tumhaari be-ruKHi ko hum KHushi se
dukha kar dil hamara kya milega
batao puchhti hun aajizi se
marasim aur gahre ho gae hain
suna hai aap ke ek ajnabi se
kahan hai aur kaisa hai abhi wo
nigahen puchhti hain har kisi se
samundar mat khata ja raha hai
hamare zabt se dariya-dili se
koi kyon 'nur' se aa kar milega
bahut bezar hain sab raushni se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.