pareshan hun main us bhai ke mare
pareshāñ huuñ maiñ us bhaa.ī ke maare
ki jo pāgal hai harjā.ī ke maare
zamāne ne badal Daalī rivāyat
paḌe haiñ dhuup meñ bhaa.ī ke maare
bichhaḌte jab kisī ko dekhtā huuñ
taḌap uThtā huuñ māñ-jā.ī ke maare
mujhe apnā ḳhalīfa mānte haiñ
saf-e-avval kī tanhā.ī ke maare
batā to deñ use auqāt us kī
magar ham chup haiñ dānā.ī ke maare
vahāñ kyūñkar na faaqe hoñ muqaddar
jahāñ gūñge hoñ mahñgā.ī ke maare
rahā yūñhī to kal mumkin hai 'tāhir'
tamāñche jhuuT sachchā.ī ke maare
pareshan hun main us bhai ke mare
ki jo pagal hai harjai ke mare
zamane ne badal Dali riwayat
paDe hain dhup mein bhai ke mare
bichhaDte jab kisi ko dekhta hun
taDap uThta hun man-jai ke mare
mujhe apna KHalifa mante hain
saf-e-awwal ki tanhai ke mare
bata to den use auqat us ki
magar hum chup hain danai ke mare
wahan kyunkar na faqe hon muqaddar
jahan gunge hon mahngai ke mare
raha yunhi to kal mumkin hai 'tahir'
tamanche jhuT sachchai ke mare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.