pareshan kyon na ho jaun kisi pagal ki surat
pareshan kyon na ho jaun kisi pagal ki surat
Khursheed Ambar Pratapgadhi
MORE BYKhursheed Ambar Pratapgadhi
pareshāñ kyoñ na ho jā.ūñ kisī pāgal kī sūrat
nazar aatī hai mujh ko aane vaale kal kī sūrat
sunā thā ishq kā rasta baḌā kāñToñ bharā hai
maiñ sach kahtā huuñ mujh ko to lagā maḳhmal kī sūrat
rag-o-pai meñ na jaane kaun aa kar bas gayā hai
mahaktī haiñ mirī tanhā.iyāñ sandal kī sūrat
mohabbat kā hukūmat kā ki daulat kā nasha ho
banā detā hai ye insān ko pāgal kī sūrat
ta.affun kā to saarā shahr aadī ho chukā hai
mahak kar kyā kareñge ham bahut sandal kī sūrat
mire josh-e-numū se tum abhī vāqif nahīñ ho
panap saktā huuñ dīvāroñ se maiñ pīpal kī sūrat
maiñ apne zauq ko bedār rakkhūñ kaise 'ambar'
bahut din ho ga.e dekhe bharī botal kī sūrat
pareshan kyon na ho jaun kisi pagal ki surat
nazar aati hai mujh ko aane wale kal ki surat
suna tha ishq ka rasta baDa kanTon bhara hai
main sach kahta hun mujh ko to laga maKHmal ki surat
rag-o-pai mein na jaane kaun aa kar bas gaya hai
mahakti hain meri tanhaiyan sandal ki surat
mohabbat ka hukumat ka ki daulat ka nasha ho
bana deta hai ye insan ko pagal ki surat
taffun ka to sara shahr aadi ho chuka hai
mahak kar kya karenge hum bahut sandal ki surat
mere josh-e-numu se tum abhi waqif nahin ho
panap sakta hun diwaron se main pipal ki surat
main apne zauq ko bedar rakkhun kaise 'ambar'
bahut din ho gae dekhe bhari botal ki surat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.