pareshan mujhko aksar meri jaan malum hoti hai
pareshāñ mujh ko aksar merī jaañ mā'lūm hotī hai
har ik rūdād apnī dāstāñ mā'lūm hotī hai
baraste aag ke sho'loñ ko koī kyoñ nahīñ maane
ye dhartī kyoñ mujhe be-āsmāñ mā'lūm hotī hai
ḳhudā us anjuman meñ jis taraf uThtī haiñ ye āñkheñ
tirī tasvīr har shai meñ nihāñ mā'lūm hotī hai
mo'amma kyoñ hai har ik gaam par uljhe savāloñ kā
mujhe ye zindagī kyoñ imtihāñ mā'lūm hotī hai
nazar terī mirā ab sāmnā karne se bachtī hai
abhī shāyad ye mujh se bad-gumāñ mā'lūm hotī hai
yahāñ kamzor ke haq meñ sadā koī nahīñ uThtī
ye bastī mujh ko shāyad be-zabāñ mā'lūm hotī hai
kisī ḳhāmosh dariyā kī hai is meñ be-kasī shāmil
nidā ye 'arsh tak mujh ko rasā mā'lūm hotī hai
pareshan mujh ko aksar meri jaan ma'lum hoti hai
har ek rudad apni dastan ma'lum hoti hai
baraste aag ke sho'lon ko koi kyon nahin mane
ye dharti kyon mujhe be-asman ma'lum hoti hai
KHuda us anjuman mein jis taraf uThti hain ye aankhen
teri taswir har shai mein nihan ma'lum hoti hai
mo'amma kyon hai har ek gam par uljhe sawalon ka
mujhe ye zindagi kyon imtihan ma'lum hoti hai
nazar teri mera ab samna karne se bachti hai
abhi shayad ye mujh se bad-guman ma'lum hoti hai
yahan kamzor ke haq mein sada koi nahin uThti
ye basti mujh ko shayad be-zaban ma'lum hoti hai
kisi KHamosh dariya ki hai is mein be-kasi shamil
nida ye 'arsh tak mujh ko rasa ma'lum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.