Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pareshani mein izhaar-e-pareshani se kya hasil

Adeeb Malegavi

pareshani mein izhaar-e-pareshani se kya hasil

Adeeb Malegavi

MORE BYAdeeb Malegavi

    pareshānī meñ iz.hār-e-pareshānī se kyā hāsil

    bhare bāzār meñ ḳhud apnī arzānī se kyā hāsil

    mujhe har manzil-e-mastī se hañs hañs kar guzarnā hai

    miTā de jo mirī himmat us āsānī se kyā hāsil

    baġhair-e-jabr-o-quvvat jhuk nahīñ saktā jo ik sar bhī

    to phir aisī jahāñgīrī jahāñbānī se kyā hāsil

    hujūm-e-barq-o-bārāñ ho nuzūl-e-qahr-o-tūfāñ ho

    fazā-e-āfiyat meñ bāl-jumbānī se kyā hāsil

    dil-e-barbād se paidā nayā dil ho nahīñ saktā

    ab aañsū poñchhiye bhī ab pashemānī se kyā hāsil

    taraste haiñ dar-o-dīvār bhī ab un ke jalvoñ ko

    mujhe ai ḳhāna-e-dil terī vīrānī se kyā hāsil

    qafas ho nasheman koī ham-āhang ho varna

    'adīb' aisī fuġhāñ aisī ġhazal-ḳhvānī se kyā hāsil

    pareshani mein izhaar-e-pareshani se kya hasil

    bhare bazar mein KHud apni arzani se kya hasil

    mujhe har manzil-e-masti se hans hans kar guzarna hai

    miTa de jo meri himmat us aasani se kya hasil

    baghair-e-jabr-o-quwwat jhuk nahin sakta jo ek sar bhi

    to phir aisi jahangiri jahanbani se kya hasil

    hujum-e-barq-o-baran ho nuzul-e-qahr-o-tufan ho

    faza-e-afiyat mein baal-jumbani se kya hasil

    dil-e-barbaad se paida naya dil ho nahin sakta

    ab aansu ponchhiye bhi ab pashemani se kya hasil

    taraste hain dar-o-diwar bhi ab un ke jalwon ko

    mujhe ai KHana-e-dil teri virani se kya hasil

    qafas ho ya nasheman koi ham-ahang ho warna

    'adib' aisi fughan aisi ghazal-KHwani se kya hasil

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now