pareshani nahin jati ki hairani nahin jati
pareshani nahin jati ki hairani nahin jati
Mohammad Mirza Wasif Rudaulvi
MORE BYMohammad Mirza Wasif Rudaulvi
pareshānī nahīñ jaatī ki hairānī nahīñ jaatī
nahīñ jaatī to haañ tahrīr-e-peshānī nahīñ jaatī
na ho iḳhlās jis meñ nazr vo maanī nahīñ jaatī
mohabbat kī kabhī bekār qurbānī nahīñ jaatī
mire hisse meñ to aa.ī nahīñ jam.īyat-e-ḳhātir
tirī zulfoñ kī āḳhir kyoñ pareshānī nahīñ jaatī
agar tum sāmne aao to kyā barpā qayāmat ho
ki is parde pe bhī jalvoñ kī tābānī nahīñ jaatī
junūñ-mashrab bayābāñ meñ raheñ yā baaġh meñ lekin
ba-rang-e-gul kahīñ bhī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
tumhārī baat to hai aur lekin ham ġharīboñ ko
jo mushkil pesh aatī hai ba-āsānī nahīñ jaatī
rahī haiñ jin se bāteñ muddatoñ ḳhalvat meñ jalvat meñ
ab un se bhī mirī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
masā.ib kī ghaTāoñ meñ nahīñ bujhte mire tevar
savād-e-zulm meñ chehra kī tābānī nahīñ jaatī
nigāh-e-mehr un kī laakh pardā-posh ho 'vāsif'
gunahgār-e-mohabbat kī pashemānī nahīñ jaatī
pareshani nahin jati ki hairani nahin jati
nahin jati to han tahrir-e-peshani nahin jati
na ho iKHlas jis mein nazr wo mani nahin jati
mohabbat ki kabhi bekar qurbani nahin jati
mere hisse mein to aai nahin jamiyat-e-KHatir
teri zulfon ki aaKHir kyon pareshani nahin jati
agar tum samne aao to kya barpa qayamat ho
ki is parde pe bhi jalwon ki tabani nahin jati
junun-mashrab bayaban mein rahen ya bagh mein lekin
ba-rang-e-gul kahin bhi chaak-damani nahin jati
tumhaari baat to hai aur lekin hum gharibon ko
jo mushkil pesh aati hai ba-asani nahin jati
rahi hain jin se baaten muddaton KHalwat mein jalwat mein
ab un se bhi meri aawaz pahchani nahin jati
masaib ki ghaTaon mein nahin bujhte mere tewar
sawad-e-zulm mein chehra ki tabani nahin jati
nigah-e-mehr un ki lakh parda-posh ho 'wasif'
gunahgar-e-mohabbat ki pashemani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.