pari tum ho meri jaan hur tum ho mah-laqa tum ho
pari tum ho meri jaan hur tum ho mah-laqa tum ho
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
parī tum ho mirī jaañ huur tum ho mah-laqā tum ho
jahāñ meñ jitne haiñ māshūq un sab se judā tum ho
sarāpā naaz ho lākhoñ meñ yaktā dilrubā tum ho
maiñ hairāñ huuñ samajh meñ kuchh nahīñ aatā ki kyā tum ho
ḳhudā ne apne hāthoñ se tumheñ aisā banāyā hai
ḳhudā kī shaan bhī kahtī hai haañ shān-e-ḳhudā tum ho
na bolo kārvān-e-zindagī ab luTne vaalā hai
chalo is tarah se goyā darā-e-be-sadā tum ho
tumhārā martaba allāhu-akbar kyā Thikānā hai
tumheñ jitnā maiñ samjhā huuñ kahīñ us se sivā tum ho
tumhārī be-ruḳhī kā bhī muamma hal nahīñ hotā
ki ālam-āshnā ho aur phir nā-āshnā tum ho
mubārak mun.imoñ ko daulat-e-duniyā ho aalam meñ
hamārī aarzū tum ho hamārā mudda.ā tum ho
har ik ġhamza tumhārā āshiqoñ ko zab.h kartā hai
ki ḳhush-andāz ho ḳhush-nāz ho aur ḳhush-adā tum ho
hamīñ donoñ se hai marbūt ishq-o-husn kā aalam
ki is kī ibtidā maiñ huuñ aur is kī intihā tum ho
tumhīñ se kashtī-e-jān-e-hazīñ aa.egī sāhil tak
muhīt-e-ishq meñ ai hazrat-e-dil nāḳhudā tum ho
mai-o-māshūq se kyā baat kuchh matlab nahīñ rakhte
batāo to kahāñ ke 'sabr' aise pārsā tum ho
pari tum ho meri jaan hur tum ho mah-laqa tum ho
jahan mein jitne hain mashuq un sab se juda tum ho
sarapa naz ho lakhon mein yakta dilruba tum ho
main hairan hun samajh mein kuchh nahin aata ki kya tum ho
KHuda ne apne hathon se tumhein aisa banaya hai
KHuda ki shan bhi kahti hai han shan-e-KHuda tum ho
na bolo karwan-e-zindagi ab luTne wala hai
chalo is tarah se goya dara-e-be-sada tum ho
tumhaara martaba allahu-akbar kya Thikana hai
tumhein jitna main samjha hun kahin us se siwa tum ho
tumhaari be-ruKHi ka bhi muamma hal nahin hota
ki aalam-ashna ho aur phir na-ashna tum ho
mubarak munimon ko daulat-e-duniya ho aalam mein
hamari aarzu tum ho hamara muddaa tum ho
har ek ghamza tumhaara aashiqon ko zabh karta hai
ki KHush-andaz ho KHush-naz ho aur KHush-ada tum ho
hamin donon se hai marbut ishq-o-husn ka aalam
ki is ki ibtida main hun aur is ki intiha tum ho
tumhin se kashti-e-jaan-e-hazin aaegi sahil tak
muhit-e-ishq mein ai hazrat-e-dil naKHuda tum ho
mai-o-mashuq se kya baat kuchh matlab nahin rakhte
batao to kahan ke 'sabr' aise parsa tum ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.