parinda chahta hai chand ka ab ham-safar hona
parinda chāhtā hai chāñd kā ab ham-safar honā
ġhazab us ke liye yā-rab huā ye bāl-o-par honā
ugāte jo nahīñ ḳhurshīd-e-mustaqbil vo kahte haiñ
shab-e-zulmat kī qismat meñ nahīñ raushan sahar honā
zamāna ab nayā aaya na.ī rāheñ na.ī manzil
har ik raahī ko apnā chāhiye ḳhud rāhbar honā
kabhī ġhurbat meñ ThanDak aag se mahsūs hotī hai
kabhī bārish ke qatroñ kā bhī dekhā hai sharar honā
gayā vo daur jab ġhaflat kī chādar taan lete the
nahīñ ḳhatre se ḳhālī ek pal ab be-ḳhabar honā
zamāna aur suntā is tajassus ko baḌhātā hai
fasāna aadmī kī zindagī kā muḳhtasar honā
nizām-e-zindagī ai 'tāj' ye behtar badaltī hai
abhī dekhā hai kis ne shā.erī kā bā-asar honā
parinda chahta hai chand ka ab ham-safar hona
ghazab us ke liye ya-rab hua ye baal-o-par hona
ugate jo nahin KHurshid-e-mustaqbil wo kahte hain
shab-e-zulmat ki qismat mein nahin raushan sahar hona
zamana ab naya aaya nai rahen nai manzil
har ek rahi ko apna chahiye KHud rahbar hona
kabhi ghurbat mein ThanDak aag se mahsus hoti hai
kabhi barish ke qatron ka bhi dekha hai sharar hona
gaya wo daur jab ghaflat ki chadar tan lete the
nahin KHatre se KHali ek pal ab be-KHabar hona
zamana aur sunta is tajassus ko baDhata hai
fasana aadmi ki zindagi ka muKHtasar hona
nizam-e-zindagi ai 'taj' ye behtar badalti hai
abhi dekha hai kis ne shaeri ka ba-asar hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.