parinda ek uDa tha jo kal hawaon mein
parinda ek uḌā thā jo kal havāoñ meñ
vo kho gayā hai ḳhudā jaane kin fazāoñ meñ
jhulas ke rah ga.ī kyoñ fasl ārzūoñ kī
bharī huī hai ye kyā aag sī ghaTāoñ meñ
dukhoñ ke ḳhaar ugaa.e haiñ tum ne phūloñ meñ
mileñge zaḳhm bhī ab reshmī ridāoñ meñ
falak se un kā javāb aa.e bhī to kyā aa.e
bahut sukūn milā aa ke ham ko gaañv meñ
ġham-e-jahāñ hī kā partav nahīñ mire ash’ār
hai karb-e-rūh bhī shāmil mirī navāoñ meñ
mirā hai zikr jahāñ meñ tire havāle se
kabhī to aa ke mujhe mil vafā kī chhāñv meñ
kitāb-e-dil meñ the mahfūz jo 'zahīr' kabhī
bikhar ga.e haiñ fasāne vo ab fazāoñ meñ
parinda ek uDa tha jo kal hawaon mein
wo kho gaya hai KHuda jaane kin fazaon mein
jhulas ke rah gai kyon fasl aarzuon ki
bhari hui hai ye kya aag si ghaTaon mein
dukhon ke KHar ugae hain tum ne phulon mein
milenge zaKHm bhi ab reshmi ridaon mein
falak se un ka jawab aae bhi to kya aae
bahut sukun mila aa ke hum ko ganw mein
gham-e-jahan hi ka partaw nahin mere ash’ar
hai karb-e-ruh bhi shamil meri nawaon mein
mera hai zikr jahan mein tere hawale se
kabhi to aa ke mujhe mil wafa ki chhanw mein
kitab-e-dil mein the mahfuz jo 'zahir' kabhi
bikhar gae hain fasane wo ab fazaon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.