parinda shaKH par meri gawahi de raha hai
parinda shāḳh par merī gavāhī de rahā hai
gavāh-e-mo'atabar merī gavāhī de rahā hai
mirī sachchā.ī jītegī savād-e-karbalā meñ
madīne kā safar merī gavāhī de rahā hai
bashārat kī tarah phailā huā ehsās huuñ maiñ
so har ahl-e-ḳhabar merī gavāhī de rahā hai
suḳhan-ābād meñ merī azāneñ gūñjtī haiñ
koī ism-e-hunar merī gavāhī de rahā hai
yaqīnan maiñ añdhere ke qabīle se nahīñ huuñ
charāġh-e-rahguzar merī gavāhī de rahā hai
parinde aur havā donoñ mujhe pyāre bahut haiñ
nagar kā har shajar merī gavāhī de rahā hai
zamāne kī adālat meñ akelā to nahīñ maiñ
mirā puurā nagar merī gavāhī de rahā hai
sadā merī zavāl-e-shab kā thā elān-nāma
so āġhāz-e-sahar merī gavāhī de rahā hai
gavāhī saada jazbe saada ḳhvāhish kī gavāhī
mirā miTTī kā ghar merī gavāhī de rahā hai
vahī tārīḳh ko degā nayā andāz 'shaukat'
sar-e-neza jo sar merī gavāhī de rahā hai
parinda shaKH par meri gawahi de raha hai
gawah-e-mo'atabar meri gawahi de raha hai
meri sachchai jitegi sawad-e-karbala mein
madine ka safar meri gawahi de raha hai
bashaarat ki tarah phaila hua ehsas hun main
so har ahl-e-KHabar meri gawahi de raha hai
suKHan-abaad mein meri azanen gunjti hain
koi ism-e-hunar meri gawahi de raha hai
yaqinan main andhere ke qabile se nahin hun
charagh-e-rahguzar meri gawahi de raha hai
parinde aur hawa donon mujhe pyare bahut hain
nagar ka har shajar meri gawahi de raha hai
zamane ki adalat mein akela to nahin main
mera pura nagar meri gawahi de raha hai
sada meri zawal-e-shab ka tha elan-nama
so aaghaz-e-sahar meri gawahi de raha hai
gawahi sada jazbe sada KHwahish ki gawahi
mera miTTi ka ghar meri gawahi de raha hai
wahi tariKH ko dega naya andaz 'shaukat'
sar-e-neza jo sar meri gawahi de raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.