parinde aur koi dam mein jalne wale the
parinde aur koī dam meñ jalne vaale the
daraḳht dil meñ bharī aag ugalne vaale the
muazzinoñ ko to is baat kā pata hī na thā
kahīñ se tiir añdhere meñ chalne vaale the
jahāz-rānoñ kī āñkhoñ meñ itnī vahshat thī
ki bādbān hī ḳhemoñ meñ Dhalne vaale the
ye mās-ḳhor ye andhī guphā meñ palte chor
sab apnī nasl ke murdoñ pe palne vaale the
maiñ jāntā huuñ charāġhoñ se ā.inoñ kā safar
maiñ jāntā huuñ jo bāñsoñ uchhalne vaale the
ki ret uḌ rahī hogī to yaad ā.eñge
tamām aa.ine jo raaz ugalne vaale the
mujhe kumhār ke sone se mas.ala nahīñ par
zurūf aaj bhī kachche nikalne vaale the
vo sard raat vo quqnus vo ik charāġh 'usmān'
sab apne apne alaav meñ jalne vaale the
parinde aur koi dam mein jalne wale the
daraKHt dil mein bhari aag ugalne wale the
muazzinon ko to is baat ka pata hi na tha
kahin se tir andhere mein chalne wale the
jahaz-ranon ki aankhon mein itni wahshat thi
ki baadban hi KHemon mein Dhalne wale the
ye mas-KHor ye andhi gupha mein palte chor
sab apni nasl ke murdon pe palne wale the
main jaanta hun charaghon se aainon ka safar
main jaanta hun jo banson uchhalne wale the
ki ret uD rahi hogi to yaad aaenge
tamam aaine jo raaz ugalne wale the
mujhe kumhaar ke sone se masala nahin par
zuruf aaj bhi kachche nikalne wale the
wo sard raat wo quqnus wo ek charagh 'usman'
sab apne apne alaw mein jalne wale the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.