parinde bhi sabhi mujh par mohabbat yun luTate hain
parinde bhī sabhī mujh par mohabbat yuuñ luTāte haiñ
mirī ḳhātir zamīñ par āsmāñ lā kar bichhāte haiñ
hamārī shā.erī ko jab bhī vo gul-rang kahtī hai
hasīñ lahje se us ke ham to gul-daste banāte haiñ
ka.ī zaḳhmoñ ke marham zindagī bhar DhūñDhte haiñ ham
ka.ī zaḳhmoñ ko saarī umr siine se lagāte haiñ
hamesha ek tujh sā bevafā kirdār khultā hai
kabhī jab yaar jhūTe ishq ke qisse sunāte haiñ
na koī ham-safar apnā na koī bām-o-dar apnā
bitānī kis tarah thī zindagī kaise bitāte haiñ
parinde bhi sabhi mujh par mohabbat yun luTate hain
meri KHatir zamin par aasman la kar bichhate hain
hamari shaeri ko jab bhi wo gul-rang kahti hai
hasin lahje se us ke hum to gul-daste banate hain
kai zaKHmon ke marham zindagi bhar DhunDhte hain hum
kai zaKHmon ko sari umr sine se lagate hain
hamesha ek tujh sa bewafa kirdar khulta hai
kabhi jab yar jhuTe ishq ke qisse sunate hain
na koi ham-safar apna na koi baam-o-dar apna
bitani kis tarah thi zindagi kaise bitate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.