parkho tum un ko dur se ya phir qarib se
parkho tum un ko duur se yā phir qarīb se
rishte dikhā.ī deñge tumheñ sab ajiib se
apne parā.e meñ bhī koī farq hī nahīñ
lagte haiñ saare dost bhī mujh ko raqīb se
jis ko bhī dekhiye use sukh kī talāsh hai
lekin ye shai bhī paatā hai insāñ nasīb se
jin kī madad se aaj bahut kāmyāb huuñ
kuchh log mil ga.e haiñ mujhe bhī habīb se
ham log is pe roz laTakte haiñ baar baar
iisā to ek baar hī laTkā salīb se
'dildār' se tamīz sharāfat hī māñgiye
daulat na māñgeñ aap kisī bhī ġharīb se
parkho tum un ko dur se ya phir qarib se
rishte dikhai denge tumhein sab ajib se
apne parae mein bhi koi farq hi nahin
lagte hain sare dost bhi mujh ko raqib se
jis ko bhi dekhiye use sukh ki talash hai
lekin ye shai bhi pata hai insan nasib se
jin ki madad se aaj bahut kaamyab hun
kuchh log mil gae hain mujhe bhi habib se
hum log is pe roz laTakte hain bar bar
isa to ek bar hi laTka salib se
'dildar' se tamiz sharafat hi mangiye
daulat na mangen aap kisi bhi gharib se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.