partaw-e-ruKH se tere aalam daraKHshan ho gaya
partav-e-ruḳh se tire 'ālam daraḳhshāñ ho gayā
dāġh-e-dil terī badaulat mehr-e-tābāñ ho gayā
aa gayā dil meñ tasavvur us ruḳh-e-pur-nūr kā
miT ga.iiñ tārīkiyāñ ghar meñ charāġhāñ ho gayā
us kī rahmat ne mujhe phir le liyā āġhosh meñ
jab ḳhatāoñ par maiñ apnī ḳhud pashemāñ ho gayā
un ke altāf-o-karam se din hamāre phir ga.e
mushkileñ hal ho ga.iiñ har kaam āsāñ ho gayā
maiñ samajhtā thā faqat dair-o-haram haiñ us ke ghar
apne dil meñ jab use paayā to hairāñ ho gayā
ek musht-e-ḳhāk kā allāhu-akbar ye sharaf
ban gayā muḳhtār-e-kul mahbūb-e-yazdāñ ho gayā
jab na paayā us ne duniyā meñ koī mujh sā 'rafīq'
kis qadar nādim huā dil meñ pashemāñ ho gayā
partaw-e-ruKH se tere 'alam daraKHshan ho gaya
dagh-e-dil teri badaulat mehr-e-taban ho gaya
aa gaya dil mein tasawwur us ruKH-e-pur-nur ka
miT gain tarikiyan ghar mein charaghan ho gaya
us ki rahmat ne mujhe phir le liya aaghosh mein
jab KHataon par main apni KHud pasheman ho gaya
un ke altaf-o-karam se din hamare phir gae
mushkilen hal ho gain har kaam aasan ho gaya
main samajhta tha faqat dair-o-haram hain us ke ghar
apne dil mein jab use paya to hairan ho gaya
ek musht-e-KHak ka allahu-akbar ye sharaf
ban gaya muKHtar-e-kul mahbub-e-yazdan ho gaya
jab na paya us ne duniya mein koi mujh sa 'rafiq'
kis qadar nadim hua dil mein pasheman ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.