partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka
partav paḌā jo āriz-e-gulgūn-e-yār kā
uTThā tanūr-e-lāla se tūfāñ bahār kā
ham-chashm laala hai jo dil-e-dāġh-dār kā
nargis ko ham sā āriza hai intizār kā
likhtā hai vasf sho.ala-e-ruḳhsār-e-yār kā
jā-e-varaq ho haath meñ pattā chinār kā
bīmār-e-'ishq huuñ lab-o-dandān-e-yār kā
nusḳhe meñ mere chāhiye sharbat anaar kā
rishte kī tarah se dur-e-dandāñ kā tere zaar
sākin hai kūcha-e-guhar-e-āb-dār kā
āsār-e-ishq-e-ḳhāk se bhī apne haiñ 'ayāñ
be-vaj.h rang zard nahīñ hai ġhubār kā
har zarra apnī ḳhaak kā hai chashm-e-intizār
yārab idhar bhī ho guzar us shahsavār kā
ham 'āsiyoñ ko ba.ad-e-fanā bhī ye ḳhauf hai
taḳhta ulaT na jaa.e zamīn-e-mazār kā
kaliyāñ talak na niklī thiiñ jab se asiir huuñ
dekhā mazā na kuchh chaman-e-rozgār kā
chashmān-e-yār karne lagīñ haiñ diloñ ko said
in āhuoñ ko shauq huā hai shikār kā
vo dil-jale haiñ sho.ala-e-javvāla ban gayā
uTThā jo gard-e-bād hamāre ġhubār kā
yād-e-mizha ne bāġh-e-dil-e-dāġh-dār meñ
khaTkā lagā diyā ḳhalish-e-nok-e-ḳhār kā
kushta huuñ ek tark ke tīr-e-nigāh kā
andāz-e-murġh dil meñ hai zaḳhmī shikār kā
raḳht-e-safed sūrat-e-mīnā-e-mai hai surḳh
kyā rang phuuT niklā hai andām-e-yār kā
phūloñ kī jā pyāla ho labrez phuul se
tiijā hai mai-kasho 'qalaq'-e-bāda-ḳhvār kā
partaw paDa jo aariz-e-gulgun-e-yar ka
uTTha tanur-e-lala se tufan bahaar ka
ham-chashm lala hai jo dil-e-dagh-dar ka
nargis ko hum sa aariza hai intizar ka
likhta hai wasf shoala-e-ruKHsar-e-yar ka
ja-e-waraq ho hath mein patta chinar ka
bimar-e-'ishq hun lab-o-dandan-e-yar ka
nusKHe mein mere chahiye sharbat anar ka
rishte ki tarah se dur-e-dandan ka tere zar
sakin hai kucha-e-guhar-e-ab-dar ka
aasar-e-ishq-e-KHak se bhi apne hain 'ayan
be-wajh rang zard nahin hai ghubar ka
har zarra apni KHak ka hai chashm-e-intizar
yarab idhar bhi ho guzar us shahsawar ka
hum 'asiyon ko baad-e-fana bhi ye KHauf hai
taKHta ulaT na jae zamin-e-mazar ka
kaliyan talak na nikli thin jab se asir hun
dekha maza na kuchh chaman-e-rozgar ka
chashman-e-yar karne lagin hain dilon ko said
in aahuon ko shauq hua hai shikar ka
wo dil-jale hain shoala-e-jawwala ban gaya
uTTha jo gard-e-baad hamare ghubar ka
yaad-e-mizha ne bagh-e-dil-e-dagh-dar mein
khaTka laga diya KHalish-e-nok-e-KHar ka
kushta hun ek tark ke tir-e-nigah ka
andaz-e-murgh dil mein hai zaKHmi shikar ka
raKHt-e-safed surat-e-mina-e-mai hai surKH
kya rang phuT nikla hai andam-e-yar ka
phulon ki ja pyala ho labrez phul se
tija hai mai-kasho 'qalaq'-e-baada-KHwar ka
- Mazhar-e-Ishq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.