parwaz ki KHwahish ne zamin ka nahin rakkha
parvāz kī ḳhvāhish ne zamīñ kā nahīñ rakkhā
ik shaḳhs ko daulat ne kahīñ kā nahīñ rakkhā
ghar-bār bhī us kā to yahīñ thā magar afsos
andāz-e-takallum ne yahīñ kā nahīñ rakkhā
palkoñ pe hai rakkhā jise ik 'umr sajā kar
ham logoñ ko us ne hī kahīñ kā nahīñ rakkhā
jis ḳhaak se uTThā thā dhuāñ tez-ravī se
us ḳhaak ne us ko to vahīñ kā nahīñ rakkhā
rakhnā thā jise saiñt ke rakkhā nahīñ ham ne
'ādat ne na rakhne kī kahīñ kā nahīñ rakkhā
ye ḳhāk-nashīnī bhī 'ajab chiiz hai 'dānish'
arbāb-e-hukūmat ko kahīñ kā nahīñ rakkhā
parwaz ki KHwahish ne zamin ka nahin rakkha
ek shaKHs ko daulat ne kahin ka nahin rakkha
ghar-bar bhi us ka to yahin tha magar afsos
andaz-e-takallum ne yahin ka nahin rakkha
palkon pe hai rakkha jise ek 'umr saja kar
hum logon ko us ne hi kahin ka nahin rakkha
jis KHak se uTTha tha dhuan tez-rawi se
us KHak ne us ko to wahin ka nahin rakkha
rakhna tha jise saint ke rakkha nahin hum ne
'adat ne na rakhne ki kahin ka nahin rakkha
ye KHak-nashini bhi 'ajab chiz hai 'danish'
arbab-e-hukumat ko kahin ka nahin rakkha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.