parwaton ke bich wo jo ek nadi thi
parvatoñ ke biich vo jo ik nadī thī
aks apnā maiñ usī meñ dekhtī thī
rang mujh par ek bhī chaḌhtā nahīñ thā
sādgī bhī kyā balā kī sādgī thī
aah vo mujh ko kisī meñ dekhtā thā
aah maiñ us ko kisī meñ dekhtī thī
sirf maazī kah ke ruḳhsat ho liye ham
kyā batāte kyā hamārī zindagī thī
tum faqat is jism tak hī rah ga.e na
maiñ tumheñ ḳhud se milānā chāhtī thī
chāñd sūraj tak mire āñgan meñ utre
zindagī bas ek terī hī kamī thī
parwaton ke bich wo jo ek nadi thi
aks apna main usi mein dekhti thi
rang mujh par ek bhi chaDhta nahin tha
sadgi bhi kya bala ki sadgi thi
aah wo mujh ko kisi mein dekhta tha
aah main us ko kisi mein dekhti thi
sirf mazi kah ke ruKHsat ho liye hum
kya batate kya hamari zindagi thi
tum faqat is jism tak hi rah gae na
main tumhein KHud se milana chahti thi
chand suraj tak mere aangan mein utre
zindagi bas ek teri hi kami thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.