pas-e-hisar-e-KHabar aati jati rahti hai
pas-e-hisār-e-ḳhabar aatī jaatī rahtī hai
havā idhar se udhar aatī jaatī rahtī hai
parind lauT bhī aa.eñ ḳhalā se shāḳhoñ par
ki fasl-e-barq-o-sharar aatī jaatī rahtī hai
yahāñ bhī dil meñ diye jalte-bujhte rahte haiñ
hamāre ghar bhī sahar aatī jaatī rahtī hai
ġhubār meñ koī nāqa-savār ho shāyad
so rāste pe nazar aatī jaatī rahtī hai
du'ā karo ki salāmat rahe shajar kā badan
bahār-e-barg-o-samar aatī jaatī rahtī hai
pas-e-hisar-e-KHabar aati jati rahti hai
hawa idhar se udhar aati jati rahti hai
parind lauT bhi aaen KHala se shaKHon par
ki fasl-e-barq-o-sharar aati jati rahti hai
yahan bhi dil mein diye jalte-bujhte rahte hain
hamare ghar bhi sahar aati jati rahti hai
ghubar mein koi naqa-sawar ho shayad
so raste pe nazar aati jati rahti hai
du'a karo ki salamat rahe shajar ka badan
bahaar-e-barg-o-samar aati jati rahti hai
- Book : Hoshiyari Dil-e-Nadan Bahut Karta Hai (Pg. 93)
- Author :Irfan Siddiqi
- Publication : Rekhta Publications (2023)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.