pas-e-sham-e-alam kisi mahr-e-nigah ko dekhte the
pas-e-shām-e-alam kisī mahr-e-nigāh ko dekhte the
vo log kahāñ mire hāl-e-tabāh ko dekhte the
jis din sailāb-e-balā aayā thā rāhoñ meñ
ham bhī sar-e-rāh hazīmat-e-kāh ko dekhte the
ye log jo aaj hue phir sāhab-e-mansab-o-jāh
ye log kahāñ kisī mansab-o-jāh ko dekhte the
ik jashn-e-masarrat pesh-e-bahīr thā us din bhī
sab sākit ho ke shikoh-e-sipāh ko dekhte the
mire shaah kī āñkheñ pathrā.ī huī lagtī thiiñ
aur dekhne vaale auj-e-kulāh ko dekhte the
āñkhoñ meñ ujālā phail gayā thā 'yūsuf' kā
ham chaah ko dekhte the kabhī raah ko dekhte the
pas-e-sham-e-alam kisi mahr-e-nigah ko dekhte the
wo log kahan mere haal-e-tabah ko dekhte the
jis din sailab-e-bala aaya tha rahon mein
hum bhi sar-e-rah hazimat-e-kah ko dekhte the
ye log jo aaj hue phir sahab-e-mansab-o-jah
ye log kahan kisi mansab-o-jah ko dekhte the
ek jashn-e-masarrat pesh-e-bahir tha us din bhi
sab sakit ho ke shikoh-e-sipah ko dekhte the
mere shah ki aankhen pathrai hui lagti thin
aur dekhne wale auj-e-kulah ko dekhte the
aankhon mein ujala phail gaya tha 'yusuf' ka
hum chah ko dekhte the kabhi rah ko dekhte the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.