pashemaniyan hi pashemaniyan hain
pashemāniyāñ hī pashemāniyāñ haiñ
kisī mehrbāñ kī mehrbāniyāñ haiñ
maiñ huuñ aur merī ye tanhā.iyāñ haiñ
bharī anjuman meñ ye vīrāniyāñ haiñ
muqaddar mirā jaise dushvāriyāñ hoñ
mire vāste kitnī āsāniyāñ haiñ
mire haal par hañs rahā hai zamāna
na jaane ye kis kī mehrbāniyāñ haiñ
bhulā kar tujhe ai dil-o-jāñ ke mālik
pashemāniyāñ hī pashemāniyāñ haiñ
kahāñ terā dar aur kahāñ mere sajde
ye kaisī mire saath hairāniyāñ haiñ
shikasta hai dil aur zamāne ke ġham haiñ
mehrbāniyāñ hī mehrbāniyāñ haiñ
musalsal pareshāñ mujhe dekh kar ḳhud
pareshāniyoñ ko pareshāniyāñ haiñ
dil-o-jāñ tasadduq kiye jā rahā huuñ
yahī merī dānista nādāniyāñ haiñ
isī dil kī ḳhātir zamāne meñ 'ashraf'
jidhar dekhiye fitna-sāmāniyāñ haiñ
pashemaniyan hi pashemaniyan hain
kisi mehrban ki mehrbaniyan hain
main hun aur meri ye tanhaiyan hain
bhari anjuman mein ye viraniyan hain
muqaddar mera jaise dushwariyan hon
mere waste kitni aasaniyan hain
mere haal par hans raha hai zamana
na jaane ye kis ki mehrbaniyan hain
bhula kar tujhe ai dil-o-jaan ke malik
pashemaniyan hi pashemaniyan hain
kahan tera dar aur kahan mere sajde
ye kaisi mere sath hairaniyan hain
shikasta hai dil aur zamane ke gham hain
mehrbaniyan hi mehrbaniyan hain
musalsal pareshan mujhe dekh kar KHud
pareshaniyon ko pareshaniyan hain
dil-o-jaan tasadduq kiye ja raha hun
yahi meri danista nadaniyan hain
isi dil ki KHatir zamane mein 'ashraf'
jidhar dekhiye fitna-samaniyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.