past-o-buland sara hamwar kar ke lauTe
past-o-buland saarā hamvār kar ke lauTe
is baar ham use hī sarshār kar ke lauTe
ab manzil-e-junūñ ko sar kar ke dekhnā kyā
nikle to the hazāroñ do-chār kar ke lauTe
us arsa-e-havā kā ab tak hai bojh dil par
achchhā huā jo ḳhud ko bezār karke lauTe
kab tak na saaf karte un se hisāb-e-hijrāñ
us baar thā jo baaqī is baar kar ke lauTe
kyā muft hai ye saudā jo chāhe us galī meñ
jaañ naqd le ke jaa.e dīdār kar ke lauTe
jaate haiñ log aise thak-hār kar jahāñ se
ghar apne jaise koī bāzār kar ke lauTe
past-o-buland sara hamwar kar ke lauTe
is bar hum use hi sarshaar kar ke lauTe
ab manzil-e-junun ko sar kar ke dekhna kya
nikle to the hazaron do-chaar kar ke lauTe
us arsa-e-hawa ka ab tak hai bojh dil par
achchha hua jo KHud ko bezar karke lauTe
kab tak na saf karte un se hisab-e-hijran
us bar tha jo baqi is bar kar ke lauTe
kya muft hai ye sauda jo chahe us gali mein
jaan naqd le ke jae didar kar ke lauTe
jate hain log aise thak-haar kar jahan se
ghar apne jaise koi bazar kar ke lauTe
- Book : غبار حیرانی (Pg. 148)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.