Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

Jafar Shirazi

pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

Jafar Shirazi

MORE BYJafar Shirazi

    pata milā hai vo thā merā ham-safar bahut der ba.ad kar

    kahāñ kahāñ se milī hai mujh ko ḳhabar bahut der ba.ad kar

    maiñ muddatoñ saqf-e-zindagī par khaḌe khaḌe tum ko dekh aayā

    ye tum bhī kyā ho ki aa.e mujh ko nazar bahut der ba.ad kar

    mirī tamannā hai ab ke tum phir milo to bhar ke muskurā.eñ

    ki dekhnā hai ye raushnī safar bahut der ba.ad kar

    mujhe batāo maiñ kyuuñ na is uThtī dhuul ke saath baiTh jā.ūñ

    mujhe ḳhabar hai vo aa.egā baam par bahut der ba.ad kar

    ḳharāb mausam meñ har shajar se larazte pattoñ ne kyā kahā thā

    ki phuul aane lage haiñ ab shāḳh par bahut der ba.ad kar

    qayāmatoñ tarah guzāreñge ye mah-o-sāl hijratoñ ke

    tamām hogā judā.iyoñ safar bahut der ba.ad kar

    mirī ġhazal meñ jab aa.e 'ja.afar' nazar unheñ ma.arke hunar ke

    hue mire mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der ba.ad kar

    pata mila hai wo tha mera ham-safar bahut der baad ja kar

    kahan kahan se mili hai mujh ko KHabar bahut der baad ja kar

    main muddaton saqf-e-zindagi par khaDe khaDe tum ko dekh aaya

    ye tum bhi kya ho ki aae mujh ko nazar bahut der baad ja kar

    meri tamanna hai ab ke tum phir milo to ji bhar ke muskuraen

    ki dekhna hai ye raushni ka safar bahut der baad ja kar

    mujhe batao main kyun na is uThti dhul ke sath baiTh jaun

    mujhe KHabar hai wo aaega baam par bahut der baad ja kar

    KHarab mausam mein har shajar se larazte patton ne kya kaha tha

    ki phul aane lage hain ab shaKH par bahut der baad ja kar

    qayamaton ki tarah guzarenge ye mah-o-sal hijraton ke

    tamam hoga judaiyon ka safar bahut der baad ja kar

    meri ghazal mein jab aae 'jafar' nazar unhen marke hunar ke

    hue mere mo'tarif sab ahl-e-nazar bahut der baad ja kar

    Source :
    • Book : Pakistani Adab (Pg. 402)
    • Author : Dr. Rashid Amjad
    • Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
    • Edition : 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now