pata nahin ki kahan chal diye wo sare log
pata nahīñ ki kahāñ chal diye vo saare log
hamāre shahr meñ the kitne pyāre pyāre log
jinheñ safīna mayassar huā vo paar lage
khaḌe hue haiñ bahut se magar kināre log
charāġh le ke nikalte nahīñ haiñ rāhoñ meñ
samajh chuke haiñ havāoñ ke sab ishāre log
shikast khāne kā jo ranj thā so apnī jagah
malāl ye hai ki ab hausla bhī haare log
ajiib baat ki haiñ DhūñDte bayābāñ meñ
ghane daraḳht kā saaya thakan ke maare log
pata nahin ki kahan chal diye wo sare log
hamare shahr mein the kitne pyare pyare log
jinhen safina mayassar hua wo par lage
khaDe hue hain bahut se magar kinare log
charagh le ke nikalte nahin hain rahon mein
samajh chuke hain hawaon ke sab ishaare log
shikast khane ka jo ranj tha so apni jagah
malal ye hai ki ab hausla bhi haare log
ajib baat ki hain DhunDte bayaban mein
ghane daraKHt ka saya thakan ke mare log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.