pata mujhko hai pahle se use inkar karna hai
patā mujh ko hai pahle se use inkār karnā hai
tasallī ke liye mujh ko magar iz.hār karnā hai
koī ta.avīz mil jaa.e ki ye ichhā kare puurī
bahut vo duur hai lekin mujhe dīdār karnā hai
irāda kyā hai merī jaañ bahut nazdīk baiThī ho
qatl karnā hai yā ham do ko do se chaar karnā hai
nazar un se ye sunday ko bāġhīche meñ milī aisī
ki ab hafte ke har din ko mujhe itvār karnā hai
sitam karne ko baiThī hai magar koī use kah do
abhī kachchā hai dil is ko zarā tayyār karnā hai
mirī kashtī ko lahreñ toḌ baiThī haiñ to ab mujh ko
kināre par khaḌe ho kar samundar paar karnā hai
pata mujh ko hai pahle se use inkar karna hai
tasalli ke liye mujh ko magar izhaar karna hai
koi tawiz mil jae ki ye ichha kare puri
bahut wo dur hai lekin mujhe didar karna hai
irada kya hai meri jaan bahut nazdik baiThi ho
qatl karna hai ya hum do ko do se chaar karna hai
nazar un se ye sunday ko baghiche mein mili aisi
ki ab hafte ke har din ko mujhe itwar karna hai
sitam karne ko baiThi hai magar koi use kah do
abhi kachcha hai dil is ko zara tayyar karna hai
meri kashti ko lahren toD baiThi hain to ab mujh ko
kinare par khaDe ho kar samundar par karna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.