pathrai hui aankhon ko binai ata kar
pathrai hui aankhon ko binai ata kar
Syed Mohammad Ahmad Naqvi
MORE BYSyed Mohammad Ahmad Naqvi
pathrā.ī huī āñkhoñ ko bīnā.ī atā kar
rangoñ ko milā chehroñ ko yaktā.ī atā kar
har chashm-e-sadaf qatra-e-naisāñ ke liye khol
in jhulse hue jismoñ ko ra.anā.ī atā kar
sahrā ke liye bhej samundar se dishā le
in jhulse hue jismoñ ko ra.anā.ī atā kar
aahoñ kī tamāzat se sulagte haiñ dar-o-bām
ab nauha-kunāñ hoñToñ pe shahnā.ī atā kar
taqdīr ko tadbīr kā ā.īna dikhā de
dam dete hue jazboñ ko barnā.ī atā kar
lafzoñ ke ḳhazāne pe haiñ jo saañp unheñ maar
yā sahmī huī rūhoñ ko goyā.ī atā kar
bas tujh se hoñ ḳhā.if na Dareñ aur kisī se
'naqvī' se qalam-kāroñ ko sachchā.ī atā kar
pathrai hui aankhon ko binai ata kar
rangon ko mila chehron ko yaktai ata kar
har chashm-e-sadaf qatra-e-naisan ke liye khol
in jhulse hue jismon ko ranai ata kar
sahra ke liye bhej samundar se disha le
in jhulse hue jismon ko ranai ata kar
aahon ki tamazat se sulagte hain dar-o-baam
ab nauha-kunan honTon pe shahnai ata kar
taqdir ko tadbir ka aaina dikha de
dam dete hue jazbon ko barnai ata kar
lafzon ke KHazane pe hain jo sanp unhen mar
ya sahmi hui ruhon ko goyai ata kar
bas tujh se hon KHaif na Daren aur kisi se
'naqwi' se qalam-karon ko sachchai ata kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.