pathrili shab hai naqsh-e-KHush-ab TuTte hain
pathrīlī shab hai naqsh-e-ḳhush-āb TūTte haiñ
āñkhoñ meñ halqa halqa sab ḳhvāb TūTte haiñ
betāb pyāsī maujeñ lipTeñgī jism-o-jāñ se
tābinda bāzuoñ ke girdāb TūTte haiñ
rātoñ ke kaale jaadū ham to jagā ke ḳhush the
in vādiyoñ meñ ab kyoñ mahtāb TūTte haiñ
paanī bhī ḳhaak bar-sar sabza bhī miTTī miTTī
ā.īne chup haiñ aks-e-shādāb TūTte haiñ
chaḌhtā huā hai kaisā tūfān zindagī kā
jismoñ kī bandisheñ haiñ sailāb TūTte haiñ
pathrili shab hai naqsh-e-KHush-ab TuTte hain
aankhon mein halqa halqa sab KHwab TuTte hain
betab pyasi maujen lipTengi jism-o-jaan se
tabinda bazuon ke girdab TuTte hain
raaton ke kale jadu hum to jaga ke KHush the
in wadiyon mein ab kyon mahtab TuTte hain
pani bhi KHak bar-sar sabza bhi miTTi miTTi
aaine chup hain aks-e-shadab TuTte hain
chaDhta hua hai kaisa tufan zindagi ka
jismon ki bandishen hain sailab TuTte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.