paTriyon par koi qabristan banwae gae
paTriyoñ par koī qabristān banvā.e ga.e
rail kī khiḌkī meñ kitne ḳhvāb dafnā.e ga.e
TimTimā kar kuchh sitāre yuuñ pukāre baat sun
jāntā hai kitne taare bulb se khaa.e ga.e
jin chhatoñ par hote the kal tak manāzir vasl ke
aaj un par ḳhud-kushī karte javāñ paa.e ga.e
chashm-e-bīnā ne jahāñ meñ kyā nahīñ dekhā miyāñ
chaltī phirtī qabr par bhī phuul barsā.e ga.e
har kisī ke ghar pe Tankī nasab hai paanī kī par
qatra qatra aab ko ghar vaale tarsā.e ga.e
āsmāñ ke kaale jangal meñ thiiñ jitnī vahshateñ
duur karne ke liye ye diip jalvā.e ga.e
pattharoñ kā shahr dikhtā hai ye dariyā hotā thā
is qadar patthar hamāre dil pe barsā.e ga.e
paTriyon par koi qabristan banwae gae
rail ki khiDki mein kitne KHwab dafnae gae
TimTima kar kuchh sitare yun pukare baat sun
jaanta hai kitne tare bulb se khae gae
jin chhaton par hote the kal tak manazir wasl ke
aaj un par KHud-kushi karte jawan pae gae
chashm-e-bina ne jahan mein kya nahin dekha miyan
chalti phirti qabr par bhi phul barsae gae
har kisi ke ghar pe Tanki nasab hai pani ki par
qatra qatra aab ko ghar wale tarsae gae
aasman ke kale jangal mein thin jitni wahshaten
dur karne ke liye ye dip jalwae gae
pattharon ka shahr dikhta hai ye dariya hota tha
is qadar patthar hamare dil pe barsae gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.