patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka
patta patta kyoñ hai dil afgār is gulzār kā
gul se gul barham hai kyoñ kyā hai sabab takrār kā
sahme sahme se haiñ kyoñ sab ġhuncha-o-gul-barg aaj
kis ne chhīnā hai guloñ ke lab se haq iz.hār kā
zahr ko dī chhūT kis ne phailne kī har taraf
ḳhushbuoñ par kyoñ kaḌā pahrā hai pahre-dār kā
bulbuleñ hai be-surī ḳhabreñ ye kis ne haiñ gaḌhī
kis ne kavve ko diyā hai martaba fankār kā
kaun hai jis ne añdheroñ ko diyā hai iḳhtiyār
rok lo puurī tarah se rāsta anvār kā
gul khilāne kā salīqa to use aayā nahīñ
naam gul hai rakh diyā bas bāġhbāñ ne ḳhaar kā
baj rahā har bazm meñ ab raag darbārī faqat
kis kī jur.at hai ki gaa.e raag ab malhār kā
kyoñ hameñ un se tavaqqo' thī chaman-bandī kī uff
vo jinheñ bas tajraba thā ġhārat-e-gulzār kā
ho rahī hai bārish-e-ikrām bātil par mudām
aur 'atā haq ko huā hai ab laqab ġhaddār kā
dhañs rahā hai aur bhī ġhurbat meñ har ġhurbat-zada
aur musalsal baḌh rahā hai māl-o-zar zar-dār kā
khel chaltā hai siyāsat kā usī ke zar se jab
kyoñ na ho sarkār meñ phir daḳhl sāhūkār kā
kām-dhande to paḌe haiñ sab ke sab Thap āj-kal
garm hai bāzār bas nafrat ke kārobār kā
sar jhukānā mat kabhī zulm-o-sitam ke sāmne
hai 'sadā' kāñdhe pe tere sar agar sardār kā
patta patta kyon hai dil afgar is gulzar ka
gul se gul barham hai kyon kya hai sabab takrar ka
sahme sahme se hain kyon sab ghuncha-o-gul-barg aaj
kis ne chhina hai gulon ke lab se haq izhaar ka
zahr ko di chhuT kis ne phailne ki har taraf
KHushbuon par kyon kaDa pahra hai pahre-dar ka
bulbulen hai be-suri KHabren ye kis ne hain gaDhi
kis ne kawwe ko diya hai martaba fankar ka
kaun hai jis ne andheron ko diya hai iKHtiyar
rok lo puri tarah se rasta anwar ka
gul khilane ka saliqa to use aaya nahin
nam gul hai rakh diya bas baghban ne KHar ka
baj raha har bazm mein ab rag darbari faqat
kis ki jurat hai ki gae rag ab malhaar ka
kyon hamein un se tawaqqo' thi chaman-bandi ki uff
wo jinhen bas tajraba tha ghaarat-e-gulzar ka
ho rahi hai barish-e-ikram baatil par mudam
aur 'ata haq ko hua hai ab laqab ghaddar ka
dhans raha hai aur bhi ghurbat mein har ghurbat-zada
aur musalsal baDh raha hai mal-o-zar zar-dar ka
khel chalta hai siyasat ka usi ke zar se jab
kyon na ho sarkar mein phir daKHl sahukar ka
kaam-dhande to paDe hain sab ke sab Thap aaj-kal
garm hai bazar bas nafrat ke karobar ka
sar jhukana mat kabhi zulm-o-sitam ke samne
hai 'sada' kandhe pe tere sar agar sardar ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.