patte ki tarah TuT ke nazron se gira hun
patte kī tarah TuuT ke nazroñ se girā huuñ
har rañg se maiñ barsar-e-paikār rahā huuñ
mujh ko varaq-e-daftar-e-farsūda na samjho
har daur ke dīvān kā maiñ naġhma-sarā huuñ
sadiyoñ se musallat thā vo ik lamha-e-jāved
tanhā.ī-e-shab meñ jo kabhī tujh se milā huuñ
ye bhī to mirā sheva-e-īsā-nafasī hai
har jalte badan ke liye maiñ ThanDī havā huuñ
har saada varaq paikar-e-fariyād banā hai
dīvān ke dīvān ko maiñ chaaT chukā huuñ
ik din to ujāloñ se gale mil ke rahūñgā
sadiyoñ se añdheroñ ke ham-āġhosh rahā huuñ
ḳhurshed ke sahbā meñ hayāt apnī Dubo kar
maiñ gardish-e-ayyām se bhī khel rahā huuñ
patte ki tarah TuT ke nazron se gira hun
har rang se main barsar-e-paikar raha hun
mujh ko waraq-e-daftar-e-farsuda na samjho
har daur ke diwan ka main naghma-sara hun
sadiyon se musallat tha wo ek lamha-e-jawed
tanhai-e-shab mein jo kabhi tujh se mila hun
ye bhi to mera shewa-e-isa-nafasi hai
har jalte badan ke liye main ThanDi hawa hun
har sada waraq paikar-e-fariyaad bana hai
diwan ke diwan ko main chaT chuka hun
ek din to ujalon se gale mil ke rahunga
sadiyon se andheron ke ham-aghosh raha hun
KHurshed ke sahba mein hayat apni Dubo kar
main gardish-e-ayyam se bhi khel raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.