patte mere chaman se uTha le gai hawa
patte mire chaman se uThā le ga.ī havā
har yaad fasl-e-gul kī uḌā le ga.ī havā
sarsabz mausamoñ kī bashārat sunā ke aaj
be-barg Tahniyoñ kī duā le ga.ī havā
Thahrī jo us hasīñ ke sirhāne zarā sī der
mauj-e-nafas se ram kī adā le ga.ī havā
har shāḳh par gulāb khilātī chalī ga.ī
jis samt us kī bū-e-qabā le ga.ī havā
ahl-e-haram kī murda-dilī ke ilaaj ko
kū-e-butāñ se ḳhāk-e-shifā le ga.ī havā
āsūdgān-e-gulshan-e-barg-o-navā ke naam
faryād-e-murġh-e-qibla-numā le ga.ī havā
tārīk bastiyoñ meñ ye kyā DhūñDhtī hai ab
zau har charāġh se tū churā le ga.ī havā
sunte ye haiñ ki qasr-e-sulaimāñ kī ḳhaak ko
āḳhir uḌā ke sū-e-sabā le ga.ī havā
patte mere chaman se uTha le gai hawa
har yaad fasl-e-gul ki uDa le gai hawa
sarsabz mausamon ki bashaarat suna ke aaj
be-barg Tahniyon ki dua le gai hawa
Thahri jo us hasin ke sirhane zara si der
mauj-e-nafas se ram ki ada le gai hawa
har shaKH par gulab khilati chali gai
jis samt us ki bu-e-qaba le gai hawa
ahl-e-haram ki murda-dili ke ilaj ko
ku-e-butan se KHak-e-shifa le gai hawa
aasudgan-e-gulshan-e-barg-o-nawa ke nam
faryaad-e-murgh-e-qibla-numa le gai hawa
tarik bastiyon mein ye kya DhunDhti hai ab
zau har charagh se tu chura le gai hawa
sunte ye hain ki qasr-e-sulaiman ki KHak ko
aaKHir uDa ke su-e-saba le gai hawa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.