patthar hai ye kabhi kabhi shisha hai aadmi
patthar hai ye kabhī kabhī shīsha hai aadmī
hai jo ba'īd-e-'aql mu'ammā hai aadmī
sub.h-o-masā talab meñ bhaTaktā hai aadmī
kab rāz-e-kā.enāt ko samjhā hai aadmī
pahle kare to nāma-e-ā'māl ḳhushnumā
jannat kī aarzū meñ to martā hai aadmī
pāmālī-e-zamīr pe rotā hai ḳhūn-e-dil
jab bhī kisī nazar se utartā hai aadmī
rishta huā shikasta muravvat na kuchh lihāz
ābādiyoñ ke shahr meñ tanhā hai aadmī
paatā hai sarfarāziyāñ rabb-e-jalīl se
ai 'shād' jab sujūd meñ jhuktā hai aadmī
patthar hai ye kabhi kabhi shisha hai aadmi
hai jo ba'id-e-'aql mu'amma hai aadmi
subh-o-masa talab mein bhaTakta hai aadmi
kab raaz-e-kaenat ko samjha hai aadmi
pahle kare to nama-e-a'mal KHushnuma
jannat ki aarzu mein to marta hai aadmi
pamali-e-zamir pe rota hai KHun-e-dil
jab bhi kisi nazar se utarta hai aadmi
rishta hua shikasta murawwat na kuchh lihaz
aabaadiyon ke shahr mein tanha hai aadmi
pata hai sarfaraaziyan rabb-e-jalil se
ai 'shad' jab sujud mein jhukta hai aadmi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.