patthar ki barishon ka asar dekhte chalen
patthar kī bārishoñ kā asar dekhte chaleñ
kaise bachā hai shīshe kā ghar dekhte chaleñ
jin ko nahīñ yaqīn mire hausloñ pe ho
naqsh-e-qadam meñ azm-e-safar dekhte chaleñ
us ḳhush-adā kī rasm-e-muravvat na pūchhiye
badlī hai kaisī us kī nazar dekhte chaleñ
ghar kī tabāhiyoñ se jo maġhmūm the bahut
ujḌe hue vo dil ke nagar dekhte chaleñ
maazī ke dil-fareb sarāboñ ko chhoḌ kar
aao zarā ye taaza ḳhabar dekhte chaleñ
jo log bhī chaman meñ samar-yāb ho chuke
ġham se sulagtī shāḳh-e-shajar dekhte chaleñ
'anvar' jo log shām-e-masarrat meñ mast the
un se kaho ki ġham kī sahar dekhte chaleñ
patthar ki barishon ka asar dekhte chalen
kaise bacha hai shishe ka ghar dekhte chalen
jin ko nahin yaqin mere hauslon pe ho
naqsh-e-qadam mein azm-e-safar dekhte chalen
us KHush-ada ki rasm-e-murawwat na puchhiye
badli hai kaisi us ki nazar dekhte chalen
ghar ki tabahiyon se jo maghmum the bahut
ujDe hue wo dil ke nagar dekhte chalen
mazi ke dil-fareb sarabon ko chhoD kar
aao zara ye taza KHabar dekhte chalen
jo log bhi chaman mein samar-yab ho chuke
gham se sulagti shaKH-e-shajar dekhte chalen
'anwar' jo log sham-e-masarrat mein mast the
un se kaho ki gham ki sahar dekhte chalen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.