patthar ki hatheli pe koi phul uga de
patthar kī hathelī pe koī phuul ugā de
zarroñ kī tab-o-tāb se sūraj ko jalā de
alfāz ke siine meñ humakte hue ḳhuuñ se
kāġhaz pe kisī ḳhvāb kī tasvīr banā de
utrā hai pahāḌoñ se ġhazabnāk añdherā
aise meñ koī chīḳh ke mujh ko na Darā de
galiyoñ meñ havā raat ko rotī hai akelī
phaile hue jangal kī use raah batā de
hai duur bahut duur vo sarsabz jazīra
jā.egā vahāñ kaun ki thakte haiñ irāde
sāhil pe tire saath thā 'fikrī' to huā kyā
maujoñ meñ kabhī Duub ke tū us ko sadā de
patthar ki hatheli pe koi phul uga de
zarron ki tab-o-tab se suraj ko jala de
alfaz ke sine mein humakte hue KHun se
kaghaz pe kisi KHwab ki taswir bana de
utra hai pahaDon se ghazabnak andhera
aise mein koi chiKH ke mujh ko na Dara de
galiyon mein hawa raat ko roti hai akeli
phaile hue jangal ki use rah bata de
hai dur bahut dur wo sarsabz jazira
jaega wahan kaun ki thakte hain irade
sahil pe tere sath tha 'fikri' to hua kya
maujon mein kabhi Dub ke tu us ko sada de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.