patthar paDe hue kahin rasta bana hua
patthar paḌe hue kahīñ rasta banā huā
hāthoñ meñ tere gaañv kā naqsha banā huā
āñkhoñ kī aabjū ke kināre kisī kā aks
paanī meñ lag rahā hai parinda banā huā
sahrā kī garm dhuup meñ bāġh-e-bahisht hai
tinkoñ se tere haath kā pañkhā banā huā
sandal ke itr se tirī mehñdī guñdhī huī
sone ke taar se mirā sehrā banā huā
yādoñ se le rahā huuñ hinā.ī mahak kā lutf
Table pe rakh ke lauñg kā qahva banā huā
mele meñ nāchtī huī jaTTī ke raqs par
yāroñ ke darmiyān hai jhagḌā banā huā
patthar paDe hue kahin rasta bana hua
hathon mein tere ganw ka naqsha bana hua
aankhon ki aabju ke kinare kisi ka aks
pani mein lag raha hai parinda bana hua
sahra ki garm dhup mein bagh-e-bahisht hai
tinkon se tere hath ka pankha bana hua
sandal ke itr se teri mehndi gundhi hui
sone ke tar se mera sehra bana hua
yaadon se le raha hun hinai mahak ka lutf
Table pe rakh ke laung ka qahwa bana hua
mele mein nachti hui jaTTi ke raqs par
yaron ke darmiyan hai jhagDa bana hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.