patthar pe bhi KHaka tera khincha nahin jata
patthar pe bhī ḳhāka tirā khīñchā nahīñ jaatā
but bhī tirī sūrat kā tarāshā nahīñ jaatā
be-lāg nazar se tujhe dekhā nahīñ jaatā
andāz-e-nazar apnā chhupāyā nahīñ jaatā
kar bhuul ke tū us se na zikr apnī vafā kā
mahbūb ko ehsān jatāyā nahīñ jaatā
baaz aate nahīñ zulm-o-sitam karne se phir bhī
kahte haiñ taḌapnā tirā dekhā nahīñ jaatā
jaañ saath liye jā.ūñgā kahtā hai ġham-e-ishq
aaya huuñ akelā maiñ akelā nahīñ jaatā
go vo hai jafā-kesh jafā-sāz jafā-gar
sūrat se magar us kī ye paayā nahīñ jaatā
majbūr-e-mohabbat ko sañbhāleñge kahāñ ham
dil apnā ḳhud apne se sañbhālā nahīñ jaatā
ġhā.eb hue vo jab se jamāl apnā dikhā kar
āñkhoñ meñ jo aaya hai añdherā nahīñ jaatā
dushvār nahīñ koh-e-alam sar pe uThānā
zillat kā magar baar uThāyā nahīñ jaatā
ai 'qadr' nazar diid se aisī huī ḳhīra
jalve kā tasavvur bhī jamāyā nahīñ jaatā
patthar pe bhi KHaka tera khincha nahin jata
but bhi teri surat ka tarasha nahin jata
be-lag nazar se tujhe dekha nahin jata
andaz-e-nazar apna chhupaya nahin jata
kar bhul ke tu us se na zikr apni wafa ka
mahbub ko ehsan jataya nahin jata
baz aate nahin zulm-o-sitam karne se phir bhi
kahte hain taDapna tera dekha nahin jata
jaan sath liye jaunga kahta hai gham-e-ishq
aaya hun akela main akela nahin jata
go wo hai jafa-kesh jafa-saz jafa-gar
surat se magar us ki ye paya nahin jata
majbur-e-mohabbat ko sanbhaalenge kahan hum
dil apna KHud apne se sanbhaala nahin jata
ghaeb hue wo jab se jamal apna dikha kar
aankhon mein jo aaya hai andhera nahin jata
dushwar nahin koh-e-alam sar pe uThana
zillat ka magar bar uThaya nahin jata
ai 'qadr' nazar did se aisi hui KHira
jalwe ka tasawwur bhi jamaya nahin jata
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.