Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patthar pe KHarashen Dalte hain

Amir Hamza Saqib

patthar pe KHarashen Dalte hain

Amir Hamza Saqib

MORE BYAmir Hamza Saqib

    patthar pe ḳharāsheñ Dālte haiñ

    nāḳhun āsebī ḳhaliye haiñ

    ik vāhima hai sad jism liye

    mujh meñ nādīda saa.e haiñ

    āñkhoñ barahna lāshoñ par

    nazzāre ḳhuun chhiḌakte haiñ

    ye botīqā hai vahshat

    dād-garī ke hiile haiñ

    dil ke afsurda hāthoñ meñ

    banjar rūhoñ ke naqshe haiñ

    ye kis naam liyā dil ne

    āñkhoñ meñ chāñd utarte haiñ

    kuchh kaliyāñ āñkheñ kholtī haiñ

    kuchh phuul judā ho jaate haiñ

    patthar pe KHarashen Dalte hain

    naKHun aasebi KHaliye hain

    ek wahima hai sad jism liye

    mujh mein nadida sae hain

    aankhon ki barahna lashon par

    nazzare KHun chhiDakte hain

    ye botiqa hai wahshat ki

    ya dad-gari ke hile hain

    dil ke afsurda hathon mein

    banjar ruhon ke naqshe hain

    ye kis ka nam liya dil ne

    aankhon mein chand utarte hain

    kuchh kaliyan aankhen kholti hain

    kuchh phul juda ho jate hain

    Source :
    • Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 92)
    • Author : Ameer Hamza Saqib
    • Publication : Rekhta Publications (2019)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now