patthar pe koi gardish-e-ayyam nahin hai
patthar pe koī gardish-e-ayyām nahīñ hai
duniyā meñ ham aisoñ kā koī kaam nahīñ hai
kyā sab dil-e-afsurda se nikle haiñ barābar
ab ḳhāna-e-mātam meñ vo kohrām nahīñ hai
suntā hai koī ġhaur se afsāna-e-māzī
maazī ki jahāñ lazzat-e-anjām nahīñ hai
Dheh jā.egī duniyā ke thapeḌoñ se ye ik din
dīvār-e-tasavvur pe koī baam nahīñ hai
ahvāl-e-dil-e-zār vo pūchhe to batānā
kahnā dil-e-bīmār ko ārām nahīñ hai
ye mad.h-sarā.ī to mujhe Thiik hai lekin
tum ne jo liyā hai vo mirā naam nahīñ hai
patthar pe koi gardish-e-ayyam nahin hai
duniya mein hum aison ka koi kaam nahin hai
kya sab dil-e-afsurda se nikle hain barabar
ab KHana-e-matam mein wo kohram nahin hai
sunta hai koi ghaur se afsana-e-mazi
mazi ki jahan lazzat-e-anjam nahin hai
Dheh jaegi duniya ke thapeDon se ye ek din
diwar-e-tasawwur pe koi baam nahin hai
ahwal-e-dil-e-zar wo puchhe to batana
kahna dil-e-bimar ko aaram nahin hai
ye madh-sarai to mujhe Thik hai lekin
tum ne jo liya hai wo mera nam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.