patthar tamam shahr sitamgar ke ho gae
patthar tamām shahr sitamgar ke ho ga.e
jitne the aa.ine vo mire ghar ke ho ga.e
shāyad ki ye zamāna unheñ pūjne lage
kuchh log is ḳhayāl se patthar ke ho ga.e
mehvar se un ko khīñch na paa.ī koī kashish
shauq-e-tavāf meñ jo tire dar ke ho ga.e
vo apne lā shu.ūr se hijrat na kar sakā
mere irāde saat samundar ke ho ga.e
saffāk mausamoñ ne ajab sāzisheñ rachīñ
TukḌe havā ke hāthoñ gul-e-tar ke ho ga.e
merī bulandiyoñ pe thī jin kī nazar 'suḳhan'
maiñ ḳhush huuñ vo mere barābar ke ho ga.e
patthar tamam shahr sitamgar ke ho gae
jitne the aaine wo mere ghar ke ho gae
shayad ki ye zamana unhen pujne lage
kuchh log is KHayal se patthar ke ho gae
mehwar se un ko khinch na pai koi kashish
shauq-e-tawaf mein jo tere dar ke ho gae
wo apne la shuur se hijrat na kar saka
mere irade sat samundar ke ho gae
saffak mausamon ne ajab sazishen rachin
TukDe hawa ke hathon gul-e-tar ke ho gae
meri bulandiyon pe thi jin ki nazar 'suKHan'
main KHush hun wo mere barabar ke ho gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.