pattharon ke darmiyan bahti nadi achchhi lagi
pattharoñ ke darmiyāñ bahtī nadī achchhī lagī
jab hisār-e-ġham meñ guzrī zindagī achchhī lagī
ek patthar pheñkne par gaañv ke tālāb meñ
pur-sukūñ maujoñ kī aksar barhamī achchhī lagī
shab kī tanhā.ī meñ darvāze pe dastak daf.atan
ghup añdhere meñ achānak raushnī achchhī lagī
baḳhshtī hai chāñdnī kohre ko bhī tābāniyāñ
us ke chehre par udāsī hī sahī achchhī lagī
jis tarah chāhā tasavvur ne tarāshā vo badan
bistar-e-ehsās par us kī kamī achchhī lagī
darmiyāñ kāñToñ ke bhī shādāb the masrūr the
jaane kyoñ phūloñ kī ye shā.istagī achchhī lagī
ab ke ham bhaTke to rāh-e-rāst par aa jā.eñge
sīdhe rāste se 'moazzam' gumrāhī achchhī laggī
pattharon ke darmiyan bahti nadi achchhi lagi
jab hisar-e-gham mein guzri zindagi achchhi lagi
ek patthar phenkne par ganw ke talab mein
pur-sukun maujon ki aksar barhami achchhi lagi
shab ki tanhai mein darwaze pe dastak dafatan
ghup andhere mein achanak raushni achchhi lagi
baKHshti hai chandni kohre ko bhi tabaniyan
us ke chehre par udasi hi sahi achchhi lagi
jis tarah chaha tasawwur ne tarasha wo badan
bistar-e-ehsas par us ki kami achchhi lagi
darmiyan kanTon ke bhi shadab the masrur the
jaane kyon phulon ki ye shaistagi achchhi lagi
ab ke hum bhaTke to rah-e-rast par aa jaenge
sidhe raste se 'moazzam' gumrahi achchhi laggi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.