pattharon ke darmiyan kya kya fasane rakh diye
pattharoñ ke darmiyāñ kyā kyā fasāne rakh diye
qaid kar ke ham ne lamhoñ meñ zamāne rakh diye
bhīgī palkeñ us ke dāman se lipaT kar kah ga.iiñ
umr kī rāhoñ meñ ham ne ye ḳhazāne rakh diye
hijratoñ ke zaḳhm saare ek pal meñ bhar ga.e
apne baazū us ne jab mere sirhāne rakh diye
jāgtī āñkheñ haiñ maiñ huuñ aur ujāloñ kā safar
ḳhvāb jab se us ne palkoñ par suhāne rakh diye
zehn kī dīvār par utre haiñ maazī ke parind
ḳhvāhishoñ ke phir kisī ne chhat pe daane rakh diye
kis ke chehre par likhī hai dāstāñ kis kī 'nasīm'
ham ne sab ke sāmne ā.īna-ḳhāne rakh diye
pattharon ke darmiyan kya kya fasane rakh diye
qaid kar ke hum ne lamhon mein zamane rakh diye
bhigi palken us ke daman se lipaT kar kah gain
umr ki rahon mein hum ne ye KHazane rakh diye
hijraton ke zaKHm sare ek pal mein bhar gae
apne bazu us ne jab mere sirhane rakh diye
jagti aankhen hain main hun aur ujalon ka safar
KHwab jab se us ne palkon par suhane rakh diye
zehn ki diwar par utre hain mazi ke parind
KHwahishon ke phir kisi ne chhat pe dane rakh diye
kis ke chehre par likhi hai dastan kis ki 'nasim'
hum ne sab ke samne aaina-KHane rakh diye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.