pattharon par naqsh ubhra kyun nahin
pattharoñ par naqsh ubhrā kyuuñ nahīñ
dast be-tesha ne sochā kyuuñ nahīñ
jaan levā haiñ adhūre vāqi.āt
jo bhī honā hai vo hotā kyuuñ nahīñ
pattharoñ ke aks paḌ kar rah ga.e
shīsha-e-ehsās TuuTā kyuuñ nahīñ
bah rahā thā jab lahū āvāz kā
ye gulū-e-ḳhushk bolā kyuuñ nahīñ
maut bhī kyā sāya-e-dīvār thī
us kā kūcha ham se chhūTā kyuuñ nahīñ
ā.ina-ḳhāna thā maiñ phir koī aks
is taraf se ho ke guzrā kyuuñ nahīñ
log nā-ḳhush haiñ ki apne haal par
muskurā detā ho huuñ ronā kyuuñ nahīñ
pattharon par naqsh ubhra kyun nahin
dast be-tesha ne socha kyun nahin
jaan lewa hain adhure waqiat
jo bhi hona hai wo hota kyun nahin
pattharon ke aks paD kar rah gae
shisha-e-ehsas TuTa kyun nahin
bah raha tha jab lahu aawaz ka
ye gulu-e-KHushk bola kyun nahin
maut bhi kya saya-e-diwar thi
us ka kucha hum se chhuTa kyun nahin
aaina-KHana tha main phir koi aks
is taraf se ho ke guzra kyun nahin
log na-KHush hain ki apne haal par
muskura deta ho hun rona kyun nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.