pattharon se dostana kya hua
pattharoñ se dostāna kyā huā
aaj tak hai aa.ina TuuTā huā
der se sūraj jo hai Duubā huā
hai añdherā har taraf chhāyā huā
ūñchī ūñchī chimniyoñ meñ aaj bhī
dekhtā huuñ maiñ lahū jaltā huā
terī parvāzeñ bahut mahdūd haiñ
āsmāñ hai duur tak phailā huā
kyoñ dayār-e-fikr meñ hai tīrgī
kyā ġhazal kā 'mīr' hai soyā huā
us ko apnī aan Thukrānā paḌī
maiñ baḌī mushkil se dīvāna huā
āñdhiyoñ kī zad meñ vo bhī aa gayā
jo diyā thā taaq par jaltā huā
pattharon se dostana kya hua
aaj tak hai aaina TuTa hua
der se suraj jo hai Duba hua
hai andhera har taraf chhaya hua
unchi unchi chimniyon mein aaj bhi
dekhta hun main lahu jalta hua
teri parwazen bahut mahdud hain
aasman hai dur tak phaila hua
kyon dayar-e-fikr mein hai tirgi
kya ghazal ka 'mir' hai soya hua
us ko apni aan Thukrana paDi
main baDi mushkil se diwana hua
aandhiyon ki zad mein wo bhi aa gaya
jo diya tha taq par jalta hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.