Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

patton ka dukh khoj rahe ho uDne wale panchhi mein

Bashir Badr

patton ka dukh khoj rahe ho uDne wale panchhi mein

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    pattoñ dukh khoj rahe ho uḌne vaale panchhī meñ

    aañsū to pal-bhar musāfir palkoñ is kashtī meñ

    har chehre meñ terā chehra DhūñD ke tujh ko kho baiThe

    ghar rasta bhuul ga.e ham ghar aane jaldī meñ

    ik ik ghar ke naam aur number pūchh ke din bhī Duub chalā thā

    beloñ ke saa.e ke pīchhe shaam khaḌī thī khiḌkī meñ

    vo titlī thī diye lau ko phuul samajh kar baiTh ga.ī

    jab chāñdī se baal nazar aa.e bachchī ko kanghī meñ

    vo an-paḌh thā phir bhī us ne paḌhe likhe logoñ se kahā

    ik tasvīr ka.ī ḳhat bhī haiñ sāhib aap raddī meñ

    be-mausam āñkhoñ badlī ham ko nahīñ achchhī lagtī hai

    dhuāñ dhuāñ ghar ho jaatā hai sāvan giilī lakḌī meñ

    aa mere siine par sar rakh apne kaan se sun paglī

    mere bhagvan bol rahe haiñ man mandir ghanTī meñ

    patton ka dukh khoj rahe ho uDne wale panchhi mein

    aansu to pal-bhar ka musafir palkon ki is kashti mein

    har chehre mein tera chehra DhunD ke tujh ko kho baiThe

    ghar ka rasta bhul gae hum ghar aane ki jaldi mein

    ek ek ghar ke nam aur number puchh ke din bhi Dub chala tha

    belon ke sae ke pichhe sham khaDi thi khiDki mein

    wo titli thi diye ki lau ko phul samajh kar baiTh gai

    jab chandi se baal nazar aae bachchi ko kanghi mein

    wo an-paDh tha phir bhi us ne paDhe likhe logon se kaha

    ek taswir kai KHat bhi hain sahib aap ki raddi mein

    be-mausam aankhon ki badli hum ko nahin achchhi lagti hai

    dhuan dhuan ghar ho jata hai sawan ki gili lakDi mein

    aa mere sine par sar rakh apne kan se sun pagli

    mere bhagwan bol rahe hain man mandir ki ghanTi mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now