payam gham ka wahi gham-gusar dete hain
payām ġham kā vahī ġham-gusār dete haiñ
tasalliyāñ jo na.ī bār-bār dete haiñ
kahāñ kā hosh unheñ ye tirī hai rusvā.ī
sadā.eñ tujh ko jo dīvāna-vār dete haiñ
vo aate aate ye kahte haiñ jald jaanā hai
vo jaate jaate nayā intizār dete haiñ
bachā sakeñge safīnoñ ko ḳhaak tūfāñ se
vo nāḳhudā ki jo himmat hī haar dete haiñ
maiñ jab bhī zikr karūñ dil kī be-qarārī kā
vo mujh ko sabr kā dushman qarār dete haiñ
payam gham ka wahi gham-gusar dete hain
tasalliyan jo nai bar-bar dete hain
kahan ka hosh unhen ye teri hai ruswai
sadaen tujh ko jo diwana-war dete hain
wo aate aate ye kahte hain jald jaana hai
wo jate jate naya intizar dete hain
bacha sakenge safinon ko KHak tufan se
wo naKHuda ki jo himmat hi haar dete hain
main jab bhi zikr karun dil ki be-qarari ka
wo mujh ko sabr ka dushman qarar dete hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.